Skip to content

Don’t Missed! Ye Honor 90 Smartphone Kamal He, 200MP Main & 50MP Selfie Camera, 4K Curved Amoled Display wala pahla phone

Hi guys, aaj ke es review me ham baat karenge Honor ki taraf se aane wale ek bahut hi khubsurat & performance wale smartphone HONOR 90 ke bare me. Ji Haan Doston, Honor 90 smartphone apne sigment ka first smartphone he jisme apko 200MP main camera ke sath sath 50MP ka selfie camera bhi milta hai. Doston is Phone me Camera hi nhi balki bahut kuch he jo apko janna hai to is review ko pura jaroor padiyega.

Basic Information of HONOR Brand

honor-brand logo
honor-brand logo

Doston sabse pahle ham baat karte he Honor Brand ke bare main. Doston Honor consumer electronic & software industry main ek China ka jana mana brand he. Jo ki Shenzhen based Chinese company he. Honor brand globally business karta he. Is company Smartphone ke sath sath tablets, laptops and other smart accessories manufacturing karta he.

Introduction on HONOR 90 Smartphone

honor-brand logo

Dosto Honor 90 Smartphone apne aap me ek package smartphone he jisme apko stylish design, Vibrant Amoled Dispay, powerful 5000Mah ki battery ke sath sath sabka favourite item Camera ne to isme char chand laga diye hain.

Dosto is smartphone me apko RAM & Storage ke bhi do option milte he to aap apne budget or uses ke base par variant select kar sakte he.

Features of HONOR 90 Smartphone

honer 90
honor 90

Doston ab ham one by one sabhi important elements ke bare me jante hai.

Camera –

Doston apko is Honor 90 phone me 200MP ka Ultra clear rear Camera ke sath triple camera setup dekhne ko milta hai. Vese kaha jata he ki Photography me to HONOT ki mastery hai. To dekhte he ki kya kya special features diye gaye he is HONOR 90 smartphone ke camera module me.

  • 200MP Untra-Clear main camera me largest 1/1/4-inches ka sensor diya gya hai, jo ki is segment me ka sabse largest sensor hai.
  • 12MP ka Ultra-wide and Macro 2 in 1 camera he.
  • 2MP Depth Camera he jo apki photos me portrait effect dene me help karega.
  • Iske sath hi 50MP Selfie camera and 100° wide FOV hardware he jisse aap selfie bhi high quality me click kar sakte he.

Read Also : Best Vlogging Camera for YouTube Videos

Display –

Dosto ab baat karte Display ke bare main.

  • 120Hz Quad-Curved Floating AMOLED Display
  • 6.7-inch/17.02cm quad-curved bezel-less display
  • Supports a high resolution of 2664×1200
  • 100% DCI-P3 color gamut
  • Up to 1.07 billion colors
  • Segment leading peak HDR brightness of 1600 nits
  • Risk-free Industry’s first 3840Hz PWM Dimming.

Performance –

  • Doston Honor 90 smartphone me apko Qualcomm Snapdragon 7 Gen 1 Accelerated Edition 5G 4nm processor milta he jo ki apke phone ko behtarin performance dega.
  • AI intelligent thermal management system
  • Honor MagicOS 7.1: Powered by Android 13, Magic OS 7.1 ke sath aata he. jisko aap android 14 me bhi update kar sakte hain.
  • RAM up to 12 GB ke sath virtual RAM extend ka bhi feature milta hai.
  • Main Storage up to 512GB milti he.
  • 5000Mah Battery jo apke mobile ko aaram se full day use karne me madad karegi. sath me ultra fast changing ke support hone se charging ki bhi koi samasya nhi hai.
honer 90
honor 90

Conclusion

Guys apko agar ek esa smart phone chahiye he jisme apko Quad Amoled Display, Hight Resolution Camera, ke sath sath achi battery bhi mil jati he. isliye ye phone ek complete package ke roop me dekha ja sakta hai. lekin kuch negative point me kahu to sirf ek baat he jo ki Honor company ka brand name india me jyada popular nhi hai. lekin honor ke apne 400+ service senter india me khol rkhe he. taki customer ko customer service me koi problem ka samana na karna pade.

Agar me baat karu ki Honor 90 phone ko me rating kitna dunga to uske liye me is phone ko 8/10 points dena chahunga. isme 2 points only brand popularity ke liye cut kiya he.

Dosto agar ye smartphone aap buy karna chahte he ya or information dekhna chahte he to aap niche diye gaye product link par click karke dekh sakte hain.

Agar apko ye review valuable laga ho to please is vlog ko apke Whatsapp/Facebook groups me share karen or ho sake to status par laga kar hme ese he or bhi review likhne ke liye motivation pradan karte rahe.

Apply for Credit Cards Click Here

Aur sath me is Honor90 smartphone ke bare me apki kya ray he hame comment karke jaroor bataye.

Thanks for reading.

Get Extra Discount with Coupon

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *